Tumhe bhulna aasan nahi…

Yon ton sab kuch badal gaeya meri zindagi main…..

Tumhari yaado ke liye bhi koi jagah nahi honi chahiye thi…

Main timepass tha na tumhare liye…

Tumhe fursat hoti tumhara mood hota mahol hota tab na tumhari zindagi main meri jagah hoti….

Tumhari yaad mujhpe kitna haq jatati hai…

Jitna tumne bhi kabhi nahi jataya…

Tumhe bhulna aasan nahi.

Main tumhe chahte huye bhi bhul nahi pata yaar.

Tum kya sochti ho main kosis nahi karta ? Din bhar kaam pea laga rehta hu.

Lekin tum har kaam main yaad aati ho neend main bhi behosi main bhi.

Haan tum aab bhi bahut yaad aate ho.

Aab main bhut thak chuka hu ek sukun ki neend sona chahta hu aur tumhari yaado se dur jana chahta hu …..

7 विचार “Tumhe bhulna aasan nahi…&rdquo पर;

टिप्पणी करे